dil dub na jaen pyason ke taklif zara farma dena ai dost kisi mai-khane se kuchh zist ka pani la dena tufan-e-hawadis se pyare kyun itna pareshan hota hai aasar agar achchhe na hue ek saghar-e-mai chhalka dena zulmat ke jhurmut waise to bijli ki chamak se darte hain par baat agar kuchh badh jae taron se subu takra dena hum hashr mein aate to un ki tashhir ka bais ho jate tashhir se bachne walon ko ye baat zara samjha dena main pairahan-e-hasti mein bahut uryan sa dikhai deta hun ai maut meri uryani ko malbus-e-'adam' pahna dena