dil-e-aina-saman para para kar ke dekha jae sitaron ko kabhi mahw-e-nazara kar ke dekha jae kabhi ta-der shabnam takht-e-gul par bhi nahin rahti amir-e-shahr ko itna ishaara kar ke dekha jae chamakta hai sar-e-mizhgan-e-nam jo tut kar dil se chalo us ashk-e-khuni ko sitara kar ke dekha jae hari kanton-bhari belen meri sanson se lipti hain aziyyat hi sahi kuchh din guzara kar ke dekha jae kahan fursat farishton si ki hum ye dard-e-sar molen hisab-e-dostan ko goshwara kar ke dekha jae hamein dil jitne ka fan to aata hai magar socha kabhi aisa bhi ho apna khasara kar ke dekha jae na jaane kitne aalam hain 'mujibi' ek aalam mein agar duniya ko duniya se kinara kar ke dekha jae