sare aalam se mere gham ka hai afsana juda dil ke matam ke liye chahiye gham-khana juda garche wahshat ka nahin hai koi afsana juda par nazar aata hai sab se tera diwana juda qurbat-e-husn ghazab hai ki sar-e-mahfil-e-naz us ke lab se nahin hota lab-e-paimana juda ai khuda kashmakash-e-yas-o-tamanna kab talak un ke rahne ke liye dil mein ho har khana juda aaj tang aa ke ye naseh ko diya main ne jawab mazhab-e-shaikh juda mashrab-e-rindana juda khushk ho jae jo baqi hai rag-e-jaan mein lahu dil se hona na abhi ai gham-e-jaanana na juda be-khudi mein bhi raqabat ka magar hai ehsas ek sahra mein hai diwane se diwana juda sabr ki mujh ko judai mein hai talqin fuzul ye to jab ho ki rahe shama se parwana juda dasht jagir hai majnun ki to kya fikr 'nazar' khod kar ghar ko bana lijiye virana juda