dil-e-barbaad mein phir us ki tamanna kyun hai har taraf sham hai lekin ye ujala kyun hai jis ki yaadon ke diye hum ne bujha rakkhe hain phir wahi shakhs tasawwur mein utarta kyun hai jaanta hun wo musafir hai safar karta hai qarya-e-jaan mein magar aaj wo thahra kyun hai thak chuka hai tu andheron mein rahe meri tarah chand ko kis ki talab hai ye nikalta kyun hai main wahi khwab hun palkon pe sajaya tha jise aaj ghairon ki tarah tum ne pukara kyun hai roz ek baat mere dil ko satati hai 'ziya' is qadar tut ke tum ne use chaha kyun hai