chehre pe us ke ashk ki tahrir ban gai wo aankh mere dard ki tafsir ban gai main ne to yunhi rakh mein pheri thin ungliyan dekha jo ghaur se teri taswir ban gai har samt hain kati padi phulon ki gardanen ab ke saba hi bagh mein shamshir ban gai us ki nazar to kahti thi parwaz ke liye meri hi soch panw ki zanjir ban gai jis samt wo uthi hai udhar mud gai hayat us ki nazar hi gardish-e-taqdir ban gai