dil-e-be-ikhtiyar ki khushbu us par is intizar ki khushbu is phate aasman ki bais hai hum se sina-figar ki khushbu itna be-sabr chaak sina hai sungh leta hai tar ki khushbu makhmali pairahan se aati hai daman-e-tar-tar ki khushbu kab tamam-umr sath rahti hai zoam-e-na-paedar ki khushbu bu-e-manzil mein ghul hi jaegi ye mere pa-e-khar ki khushbu kho gai daur-e-hijr mein 'nayab' mere lail-o-nahaar ki khushbu