unki aamad se jo arman machal jate hain

un ki aamad se jo arman machal jate hain
khud-bakhud rah ke aasar badal jate hain

hum to un logon mein shamil hain hamara kya hai
jo umidon ke sahaare hi bahal jate hain

meri aankhon mein tere hijr ke aansu hain jame
wo mere jazbon ki hiddat se pighal jate hain

subh-e-sadiq ki tarah ujle hain jazbe un ke
jo bure waqt mein gir ke bhi sambhal jate hain

aisa insan ki jis ka koi gham-khwar na ho
aise insan ko haalat nigal jate hain

meri aankhon se bhala khushk hon aansu kaise
kya kabhi chhod ke pani ko kanwal jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close