dil-e-be-muddaa ka muddaa kya use yaksan rawa kiya narawa kya jinhen har sans bhi ek marhala hai unhen ras aae duniya ki hawa kya koi sunta nahin hai muflison ki gharibon ka payambar kya khuda kya nigah-e-dost mein jachta nahin jab to phir main kya mera zehn-e-rasa kya bada achchha kiya aaj aa gae tum chalo chhodo na aae kal hua kya jo khud dast-e-talab phaila raha ho sakhi bhi ho to us ka aasra kya agar majbur hai jine par insan to phir kaise kate ye sochna kya