dil-e-be-tab ko kab wasl ka yara hota

dil-e-be-tab ko kab wasl ka yara hota
shadi-e-daulat-e-didar ne mara hota

shab-e-gham zahr hi khane ka maza tha warna
intizar-e-sahar-e-wasl ne mara hota

shab-e-hijran ki bala tale nahin talti hai
bhor kar dete agar zor hamara hota

aai jis shan se madfan mein sawari meri
dekhte ghair to marna hi gawara hota

kyun na sine se lagi rahti amanat teri
dagh-e-dil kyun na hamein jaan se pyara hota

sar jhukae teri ummid pe baithe hain hum
qatil is bar amanat ko utara hota

ek ho jati abhi kafir-o-din-dar ki rah
agar un jutti bhuwon ka ek ishaara hota

bhigti jati hai raat aur abhi sohbat hai garm
jam lab-rez isi aalam mein hamara hota

nigah-e-lutf se mahrum hun ab tak saqi
saf-e-akhir ki taraf bhi ek ishaara hota

dur se saghar-o-mina ko khada takta hun
dil koi rakhta to mujh ko bhi pukara hota

dur itni na kabhi khinchti adam ki manzil
kash kuchh naqsh-e-qadam hi ka sahaara hota

yas ab aap kahan aur kahan bang-e-jaras
kaun is wadi-e-ghurbat mein tumhaara hota

dekhte rah gae 'yas' aap ne achchha na kiya
dubte waqt kisi ko to pukara hota

surat-e-zahiri ek parda-e-tarik thi 'yas'
husn-e-mani ka kan-ankhiyon se nazara hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close