dil-e-betab ka aana sitam hai

dil-e-betab ka aana sitam hai
tadap kar phir machal jaana sitam hai

mujhe samjha rahi hai ghairat-e-dil
wafa se tera phir jaana sitam hai

wo rah kar chutkiyan lete hain kya kya
sitam hai dil mein bhi aana sitam hai

meri nakaamiyan ye kah rahi hain
nuqush-e-gham ka mit jaana sitam hai

miti jati hain meri aarzuen
kisi ko rah par lana sitam hai

kitab-e-ishq ko karta hun main jama
waraq ka ab bikhar jaana sitam hai

kahin raaz-e-mohabbat khul na jae
zaban par nam ka lana sitam hai

dam-e-akhir hua mujh ko ye malum
fareb-e-zindagi khana sitam hai

meri ghairat ko kab hai ye gawara
tasawwur mein tera aana sitam hai

samajhta hun maal-e-arzu ko
magar ab tujh ko samjhana sitam hai

gareban hai gareban dast-e-wahshat
tera had se guzar jaana sitam hai

phansa kyon main fareb-e-arzu mein
ada ke pher mein aana sitam hai

tumhin ne dawat-e-nazzara di thi
yakayak hae chhup jaana sitam hai

kabhi raqsan thin jin aankhon mein ulfat
un aankhon ka badal jaana sitam hai

jafa jab hasil-e-ulfat hai ai dil
'wafa' ke pher mein aana sitam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close