hans ke parda jo uThata to gulistan hota

hans ke parda jo uthata to gulistan hota
aur hi rang-e-jahan tujh se numayan hota

hausla puchh lo har zarre se wahshat ka meri
nigah-e-hosh jo padti to bayaban hota

fasl-e-gul mein jo kahin daman-e-gardun ka hilal
hath aata to hamara hi gareban hota

aaine mein wo nazar dekh rahe hain apni
dil agar pech mein hota to ye mizan hota

mil gae khak mein aankhon se nikal kar nahaq
ashk-e-pur-khun ke liye aap ka daman hota

nashtar-e-ishq-o-mohabbat ko nikala main ne
dil mein rahta to ye paiwast-e-rag-e-jaan hota

dil ki mahrumi-e-taqdir ka sadma hai mujhe
ye jo gulshan na hua tha to bayaban hota

main agar dagh bhi tha daman-e-hasti ke liye
aap ke hath se mit jaane ka saman hota

aalam-e-yas mein sad-shukr ki aai mujhe maut
is bure waqt mein tha kaun jo pursan hota

pujta hai kisi kafir ko 'wafa' kyon din-raat
is se behtar to yahi tha ki musalman hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close