dil-e-betab ke hamrah safar mein rahna hum ne dekha hi nahin chain se ghar mein rahna swang bharna kabhi shahi kabhi durweshi ka kisi surat se mujhe us ki nazar mein rahna ek haalat pe basar ho nahin sakti meri jama-e-khak kabhi khilat-e-zar mein rahna din mein hai fikr-e-pas-andazi-e-sarmaya-e-shab raat bhar kawish-e-saman-e-sahar mein rahna dil se bhage to liya dida-e-tar ne goya aag se bach ke nikalna to bhanwar mein rahna ahl-e-duniya bahut aaram se rahte hain magar kab mayassar hai teri rahguzar mein rahna wasl ki raat gai hijr ka din bhi guzra mujhe waraftagi-e-haal-e-digar mein rahna kar chuka hai koi aflak o zamin ki takmil phir bhi har aan mujhe arz-e-hunar mein rahna