kuchh ehtimam safar ka zarur karna hai ki us ke shahr se ho kar mujhe guzarna hai main chup nahin hun kisi maslahat ke pesh-e-nazar main jaanta hun kahan ikhtilaf karna hai hamare jism se patthar bandhe hue hain magar samundaron ki tahon se hamein ubharna hai phisal rahi hai jawani ki ret mutthi se guzar rahe hain mere din inhen guzarna hai ye kaenat ki taswir na-mukammal hai abhi to is mein bahut rang us ne bharna hai mera mizaj nahin hai magar mujhe 'faizan' kisi ke waste ek ahd se mukarna hai