dil-e-girafta ke sab pech-o-tab khol ke dekh hawa ka zor muhit-e-hubab khol ke dekh mere lahu ko numaish-gah-e-wafa se utha hai jama o kharch bahut ye hisab khol ke dekh ye kis ke zulm se har shai hai misl-e-sang khamosh ai naqsh-gar dar-e-shahr-e-kharab khol ke dekh kahin to dasht mein thahregi mauj-e-ab-e-gurez rawan hua hai to raaz-e-sarab khol ke dekh dhadakte dil se na maujon ki razm-gah mein utar khat-e-safar ko kaf-e-dast-e-ab khol ke dekh hain kab se tishna-e-mani mere huruf-e-badan faragh ho to kabhi ye kitab khol ke dekh zara suragh laga mere rang-e-khasta ka ghamon ki dhup mein band-e-naqab khol ke dekh gulon ko kis liye dasti hain chandni raaten kahan hai zahr rag-e-mahtab khol ke dekh maza to jab hai ki gulshan mein jashn-e-shoala ho bhari bahaar mein dagh-e-gulab khol ke dekh kanar-e-dasht-e-bala kaun hai makin 'shahin' khamosh suni haweli ka bab khol ke dekh