kyun na hum soch ke sanche mein hi dhal kar dekhen wo jo qaem hai to phir khud ko badal kar dekhen go masafat hai kathin aur na rasta koi lekin is haal mein achchha hai ki chal kar dekhen hum mohabbat ko mukammal nahin zahir karte wo hina-barg ko chutki mein masal kar dekhen zindagi maut mein makhfi hai yaqinan apni misl-e-parwana chalo hum bhi to jal kar dekhen ek koshish jo hai us ki use anjam to den is ki khwahish pe zara der ko tal kar dekhen 'sad' logon se tawaqqo ho to kis baat pe ho mung chhati pe mere roz wo dal kar dekhen