dil-e-hazin ko na malum kyon qarar nahin nigah-e-shauq to paband-e-eatibar nahin ye chand-roza bahaaren sada-bahaar nahin ki dhalti chhanw ka ai dost eatibar nahin badalte rahte hain ye rang aasman ki tarah nazar-farosh sahaaron ka eatibar nahin teri nigah ke sadqe main ab wahan hun jahan koi rafiq nahin koi gham-gusar nahin chaman mein raaz-e-chaman ban gaya hai jo hamdam wahi to bulbul-e-marhum ka mazar nahin na chhin sham-e-junun mujh se aasman ki mujhe hawa-e-subh-e-chaman ab ke sazgar nahin isi se puchho meri ham-safar hai ye bijli mere junun ko zamane ka intizar nahin wo gham-nasib kahan jae kis ko apnae teri nigah-e-karam jis ki gham-gusar nahin