dil ki barbaadi ka rona ai gham-e-nakaam kya is tarah dard-e-mohabbat ko karen badnam kya dushman-e-jaan ban gai khud-agahi warna bhala mera rishta rok sakti shorish-e-ayyam kya lazzat-e-mizhgan shuur-e-gham ka darman ban gai warna apna hausla kya mai-kashi kya jam kya khud to ranga-rang taswiren banain aap ne mere sar dharte hain phir ye aap hi ilzam kya karwan-e-dahr ko manzil-ba-manzil dekh aae 'nazish'-e-badnam apni subh kya aur sham kya