dil-e-hazin ko tamanna hai muskurane ki ye rut khushi ki hai ya rit hai zamane ki bana gain use pechida nit-nai sharhen khuli hui thi haqiqat mere fasane ki haram ke pas pahunchte hi thak ke baith gae wagarna rah to li thi sharab-khane ki kisi ke saya-e-gesu ki baat chhidti hai mere qarib rahen gardishen zamane ki main tere gham ka bhi thoda sa jaeza le lun kabhi mile mujhe fursat jo muskurane ki samet len mah o khurshid raushni apni salahiyat hai zamin mein bhi jagmagane ki bhala 'imam' tahajjud guzar kya jaanen ki raat kitni hasin hai sharab-khane ki