hashr mein aur hi aasar nazar aate hain mere hami shah-e-abrar nazar aate hain dil-e-betab ko ye kah ke sambhaala shab-e-gham thahar ab subh ke aasar nazar aate hain qalb-e-momin ki ajab shan hai allah allah sar jhukata hun to anwar nazar aate hain shab-e-asra na raha ek bhi parda hail saf haq ke unhen didar nazar aate hain dast-e-qudrat ne banai hai wo surat teri jis ke kaunain kharidar nazar aate hain chhup nahin sakte hain us parda nashin ke aashiq hum ne dekhe hain sar-e-dar nazar aate hain shafe-e-hashr shafaat pe kamar-basta hai aaj har samt gunahgar nazar aate hain faiz-e-saqi se hai mai-khana-e-hasti aabaad aaj mai-khwar hi mai-khwar nazar aate hain apne baatin ko na dekha kabhi zahid tu ne hum to mai-khwar hain mai-khwar nazar aate hain abr aate hain jo furqat mein teri ai saqi surat-e-dida-e-khunbar nazar aate hain ghuncha-e-dil jo tere hijr mein afsurda hai bagh mein phul mujhe khar nazar aate hain maraz-e-ishq ki haalat koi hum se puchhe wo to achchhe hain jo bimar nazar aate hain hath khali hai magar dil to ghani hai apna chashm-e-makhluq mein zardar nazar aate hain chhut jaenge musibat se ab insha-allah hijr mein maut ke aasar nazar aate hain dagmagate hain qadam rah-e-wafa mein mere marhale ishq ke dushwar nazar aate hain is qadar mahw rahe hirs-o-hawa mein 'rasikh' ab to surat se gunahgar nazar aate hain