dil-e-iza-talab le tera kahna kar liya main ne kisi ke hijr mein jina gawara kar liya main ne but-e-paiman-shikan se intiqaman hi sahi lekin sitam hai wada-e-tark-e-tamanna kar liya main ne niyaz-e-ishq ko surat na jab koi nazar aai junun-e-bandagi mein khud ko sajda kar liya main ne wafa-na-ashna is sadgi ki dad de mujh ko samajh kar teri baaton par bharosa kar liya main ne mohabbat be-baha shai hai magar taqdir achchhi thi mata-e-do-jahan de kar ye sauda kar liya main ne mila to did ka mauqa magar ghairat ko kya kahiye jab aai wadi-e-aiman to parda kar liya main ne badi daulat hai haq ke nam par daulat luta dena jahan mein phunk kar chandni ko sona kar liya main ne kisi ke ek dard-e-bandagi se kya mili fursat ki dil mein sau tarah ka dard paida kar liya main ne tamasha dekhte hi dekhte un ki adaon ka sar-e-mahfil khud apne ko tamasha kar liya main ne kisi ki rah mein 'faruq' barbaad-e-wafa ho kar bura kya hai ki apne haq mein achchha kar liya main ne