jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walhana mujhe khud karega sajda tera sang-e-astana rah-e-haq ke hadson ka na suna mujhe fasana teri rahbari ghalat thi ki bahak gaya zamana main jahan-e-hosh-o-irfan ba-libas-e-kafirana ba-hijab-e-parsai tu hama sharab-khana tujhe yaad hai sitamgar koi aur bhi fasana wahi zikr-e-ab-o-dana wahi fikr-e-taerana meri zindagi ka mahwar yahi soz-o-saz-e-hasti kabhi jazb-e-walhana kabhi zabt-e-arifana tera jazba-e-rifaqat mera sath kaise dega ki main zinda-e-kohistan tu halak-e-ashiyana meri bazm-e-fikr mein hai yahi kashmakash azal se kabhi chha gai haqiqat to kabhi jam gaya fasana wo bajae aah 'faruq' abhi wah kar rahe hain abhi dard se hai khali ye nawa-e-ashiqana