dil-e-mukhlis kahe bin baat dil ki jaan jata hai saliqe se manaen gar to rutha man jata hai ye khamoshi na jaane aur kitne rang badlegi ghulu ko dur se hi aadmi pahchan jata hai bhale kitna hi pyara kyon na ho jaan se juda ho kar turabi jism wapas be-sar-o-saman jata hai badi mashghul rahti soch hai bismil meri aksar hawa lagti hai to zakhmon ki jaanib dhyan jata hai mohabbat hum ne ki hai tujh se jaanan aan par aa kar tera yun chhod kar jaana khilaf-e-shan jata hai bula kar dekh lo tum bhi kabhi 'abrar' fursat mein badi mushkil se ghar aaya hua mehman jata hai