dil-e-muztar ko hum kuchh is tarah samjhae jate hain ki wo bas aa rahe hain aa hi pahunche aae jate hain nigah-e-shauq ke parwarda nazzaron ki mahfil mein ye dil bahle na bahle han magar bahlae jate hain ba-zahir to bahut nazuk hain dil ahl-e-mohabbat ke yahi shishe kabhi patthar se bhi takrae jate hain hansa karte the sun kar dastan-e-qais bachpan mein jawan ho kar isi qissa ko hum dohrae jate hain wo duzdida nigahen hon ki khanjar-azma abru mohabbat ki har ek manzil pe rahzan pae jate hain bhari mahfil mein sab se hain mukhatab be-hijabana magar bas ek hum hain jin se wo sharmae jate hain khayal-e-ujrat-e-mauhum par 'iqbaal' duniya mein ye hum se zindagi ke bojh kyun uthwae jate hain