ek tasawwur to hai taswir nahin khwab hai khwab ki tabir nahin ye rihai ki tamanna kya hai jab mere panw mein zanjir nahin subh meri tarah aabaad nahin sham meri tarah dil-gir nahin kyun ubhar aaya teri yaad ka chand jab ujala meri taqdir nahin sang mein phul khilane walo fan yahan bais-e-tauqir nahin baat kahne ka saliqa hai ghazal shairi husn hai taqrir nahin dil usi aag mein jalta hai 'zafar' hae jis aag mein tanwir nahin