dil-e-muztarib teri dhadkanon mein ye kis ka aks-e-khiram hai ki isi khiram pe munhasir meri zindagi ka nizam hai isi kashmakash mein na tai hue rukh-o-zulf-e-yar ke marhale ki harif-e-dida-e-muntazir kabhi subh hai kabhi sham hai mere haal par nigah-e-karam to baja magar ye karam kahin mera iztirab na chhin le abhi is se aur bhi kaam hai mah-o-mehr-o-anjum-o-kahkashan nahin lakh parda-e-darmiyan wo had-e-nigah se dur hai to jabin se ek hi gam hai jo 'aziz' hai meri zindagi to ye mahwiyat bhi hai bandagi ki namaz-e-ishq mein naseha na sujud hai na salam hai