tum salamat raho wahshat-e-jaan se kya kuchh hawa-e-zamistan hi bahlaegi marg-e-ushshaq arzan hui bhi to kya mausam-e-gul mein taza hawa aaegi jis ke kuze ke pani se dozakh bujhe aur angithi ke shoale se jannat jale koi aisa ho gar sahiban-e-haram kaam is waqt us ki misal aaegi chaak-e-daman se hai jo bahaar aashkar us pe daur-e-khizan ka tasallut nahin ek tasawwur numu ka bhi hai kargar shakh-e-gul aap sine mein lahraegi tum kaho to chala jaun is shahr se is faza mein halakat hai jagi hui sare hanke mein bhage hue jaanwar ye hawa ye sada dil ko kha jaegi raat ki ye hawa narm aisi ki bas nind ki ek chadhti hui bel mein jagti aankh mein bhi jo khilte rahen phul aise hazaron khila jaegi mar gaya 'madni'-e-khush-nawa rah mein jaanta tha sar-e-dasht ek raushni is se pahle ki manzil koi aa sake panw sun kar ke marg-e-junun laegi