dil-e-nalan teri aahon mein asar hai ki nahin be-qarari jo idhar hai wo udhar hai ki nahin shoala-e-ishq jigar tak to bhadak uttha hai kuchh khabar bhi tujhe ai dida-e-tar hai ki nahin hum bataen tumhein is shokh ke parda ka sabab dekhna ye hai tumhein tab-e-nazar hai ki nahin qais ye chaak-gareban to hai wahshat ki dalil chaak-dil hai ki nahin chaak-jigar hai ki nahin us ki surat se hun sanna-e-azal ka qail jalwa-e-qudrat-e-haq husn-e-bashar hai ki nahin kaba-e-dil pe mere roz chadhai kaisi ai buto kuchh tumhein allah ka dar hai ki nahin lan-tarani ko zara ghaur se samjho musa jalwa-e-hashr tumhein madd-e-nazar hai ki nahin dair mein dhundhta hun kaba-nashin ko zahid wahi jalwa jo udhar hai wo idhar hai ki nahin qatl-e-ashiq to teri aankh ka jada thahra lab-e-isa ka tere lab mein asar hai ki nahin mere phulon se bhi daman ko bachaya tum ne is taghaful ki bhi kuchh tum ko khabar hai ki nahin shama ki nazr idhar jaan patangon ki hui waqf-e-gul-gir idhar shama ka sar hai ki nahin shab ko barse the mere dida-e-tar tham tham kar subh ko dekhiye to ghair ka ghar hai ki nahin hath khali na dikhao pae qatl-e-dushman tegh bhul aae to kya tegh-e-nazar hai ki nahin dam to lene do nakirain thaka-manda hun rukh pe dekho to mere gard-e-safar hai ki nahin nala-e-dil to mera shor-e-qayamat hai magar nazuki teri mujhe madd-e-nazar hai ki nahin ghuncha-e-dil se shab-e-gham ye sada aati thi main hun pazhmurda kahin baad-e-sahar hai ki nahin aatishin aah ka hai sang-dilon par bhi asar tod kar dekh lo patthar mein sharar hai ki nahin tur ki aag to bujhte hi bujhegi yarab talib-e-did ko apni bhi khabar hai ki nahin sab se aage hai gunahgaron ki saf mahshar mein qabil-e-naz mera daman-e-tar hai ki nahin hum ne 'rasikh' tujhe mahfil mein bahut yaad kiya us ne puchha tha koi tufta-jigar hai ki nahin