samay se pahle bhale sham-e-zindagi aae kisi tarah bhi udasi ka ghaw bhar jae hum ab udas nahin sar-ba-sar udasi hain hamein charagh nahin raushni kaha jae jo sher samjhe mujhe dad-wad deta rahe gale lagae jise gham samajh mein aa jae gae dinon mein koi shauq tha mohabbat ka ab is azab mein ye zehn kaun uljhae kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-saba koi udas hua to gulab murjhae ye ek dukh hi daba rah gaya hai aankhon mein wo ek misra jise sher kar nahin pae agar hun ghusse mein phir bhi main chahta ye hun main sirf hijr kahun aur phone kat jae