dil-e-shorida bata teri ye aadat kya hai hum se hi puchh raha hai ki mohabbat kya hai na mohabbat na murawwat na mulaqat rahi gar yahi dosti thahri to adawat kya hai hum na kahte the ki yaadon ko sambhaale rakhna ab jo tanhai ka aalam hai to hairat kya hai ghair ko sath liye aae ho hum se milne fitna-angezi ye kaisi ye qayamat kya hai zulf zanjir-e-sitam tegh-e-jafa hain abru dil-e-wahshat-zada ab bachne ki surat kya hai kaisi be-mehri se rukhsat hua wo tod ke dil puchh to leta teri aakhiri hasrat kya hai kis liye zinda hun main us se bichhad ke 'mushtaq' mujh se puchho ki mere dil mein nadamat kya hai