tum sa gar rahbar nahin hota koi bhi rah par nahin hota raste bhi fareb dete hain jab koi ham-safar nahin hota us ki yaaden jo ham-safar hotin to safar tul-tar nahin hota apne sae se jo na ho mahrum aisa koi shajar nahin hota han main us ki agar milata han dar pe mera sar nahin hota main nikalta hun jab safar ke liye ghar mein rakht-e-safar nahin hota lakh karta hun koshishen 'ibrat' gham magar mukhtasar nahin hota