dil-e-wahshi se pyar kaun kare jabr ko ikhtiyar kaun kare raegan sari mehnaten hongi jama daman ke tar kaun kare ashk-e-khunin hain gul khilane ko intizar-e-bahaar kaun kare hum na hon gar sharik-e-mahfil-e-naz un ko phir sharmsar kaun kare hum ko khud intizar hai apna aap ka intizar kaun kare dil pe apne nahin hai jab qabu un se qaul-o-qarar kaun kare hum to lala-rukhon se baz aae sine ko daghdar kaun kare hum hi shikwon se baz aaen 'nadim' un ko phir ashk-bar kaun kare dagh-e-dil mat kured ai 'naqwi' sair-e-zakhm-e-bahaar kaun kare