gham-e-jaanan gham-e-dauran mein nihan hai ki nahin mera afsana hadis-e-digaran hai ki nahin ek muddat se nahin kuchh khabar-e-awara dekho diwana sar-e-ku-e-butan hai ki nahin yaro insaf karo kuchh to khuda lagti kaho bolo wo shokh mera jaan-e-jahan hai ki nahin kal ki hai baat ki sae ki tarah sath the jo aaj saya bhi mera un ko giran hai ki nahin mere marne pe wo tadpe to tajjub kyon hai shoala-e-shama sar-e-bazm tapan hai ki nahin dil-e-be-khud teri baaton pe hansi aati hai tera afsana faqat wahm-o-guman hai ki nahin gham-e-jaanan ka mudawa to mayassar na hua kuchh ilaj-e-gham-e-dauran bhi yahan hai ki nahin aap hi aap ye dil chur hua jata hai kuchh ilaj is ka bhi ai shisha-garan hai ki nahin aankh milte hi shagufta hua ru-e-zeba kahiye ye moajiza-e-khush-nazran hai ki nahin hum na kahte the ki ab bint-e-inab ki chhodo ek hangama sar-e-ritl-e-giran hai ki nahin hum hatheli pe liye sar ko yahan aae hain tak mein us ki koi dushman-e-jaan hai ki nahin kyon hua jata hai parde se tu bahar 'naqwi' soch to khalwati-e-raaz-e-nihan hai ki nahin