dil ek nai duniya-e-maani se mila hai ye phal bhi hamein naql-e-makani se mila hai jo nam kabhi naqsh tha dil par wo nahin yaad ab us ka pata yaad-dahani se mila hai ye dard ki dahliz pe sar phodti duniya is ka bhi sira meri kahani se mila hai khoe hue logon ka suragh ahl-e-safar ko jalte hue khemon ki nishani se mila hai khatir mein kisi ko bhi na lane ka ye andaz biphri hui maujon ki rawani se mila hai lafzon mein har ek ranj samone ka qarina us aankh mein thahre hue pani se mila hai ye subh ki aaghosh mein khilta hua manzar ek silsila-e-shab ki girani se mila hai