gila tere firaq ka jo aaj-kal nahin raha to kyun bhala ye mustaqil azab tal nahin raha main kis se iltija karun kahan se ibtida karun dua ahal rahi nahin gila badal nahin raha main raston ki bhid mein kahan ye aa gaya ki ab koi bhi rasta teri gali nikal nahin raha wo naqsh-e-pa ko dekh kar chala ho mujh ko dhundne isi guman ke ewaz main tez chal nahin raha faqat yahi hai aarzu tu mil kahin to ru-ba-ru ye dil tere firaq mein kahin sambhal nahin raha