dil-fasurda ye kisi ka nahin dekha jata aankh mein ashk ka dariya nahin dekha jata zindagi tera yaqin kaise karun main aakhir tujh se ek shakhs bhi hansta nahin dekha jata bewafai to chalo thik hai lekin tere sar tale ghair ka shana nahin dekha jata tujh pe ilzam laga sakte hain lekin hum se tera daman kabhi maila nahin dekha jata mang baitha wo khilauna to main dil de aaya tifl to tifl hai rota nahin dekha jata chand aise bhi masiha hain mere khitte mein jin se bimar ko achchha nahin dekha jata main gham-e-ishq se aazad hua chahta hun ab tamannaon ka lasha nahin dekha jata zakhm par zakhm hamein jis ne diye ai 'sahil' us se ab dard hamara nahin dekha jata