isi bazar tak bas raushni hai

isi bazar tak bas raushni hai
phir is ke baad ek andhi gali hai

har ek aawaz mein hai ajnabiyyat
har ek chehre pe ek be-chehragi hai

yahan rasman hai sab ki khush-libasi
nazar se be-libasi jhankti hai

hai ghar mein khamushi ka ek jangal
isi jangal mein kala nag bhi hai

ajab durgandh hai watawaran mein
kisi talab mein machhli mari hai

hamein aakash par jaana tha lekin
hamare panw mein rassi bandhi hai

zara lahje ko tum shaista kar lo
tumhaare pichhe ek ladki khadi hai

wo chehra jo kabhi dekha nahin tha
wo chehra yaad mujh ko aaj bhi hai

abhi hain khwab gile baadalon ke
abhi barish mein ladki bhigti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close