dil gaya dil-lagi nahin jati rote rote hansi nahin jati aankhen saqi ki jab se dekhi hain hum se do ghunt pi nahin jati kabhi hum bhi tadap mein bijli the ab to karwat bhi li nahin jati un ko sine se bhi laga dekha hae dil ki lagi nahin jati baat karte wo qatl karta hai baat bhi jis se ki nahin jati aap mein aae bhi to kya aae lazzat-e-be-khudi nahin jati hain wahi mujh se kawishen dil ki dost ki dushmani nahin jati ho gae phul zakhm-e-dil khil kar nahin jati hansi nahin jati