ruk gaya aankh se bahta hua dariya kaise gham ka tufan to bahut tez tha thahra kaise har ghadi tere khayalon mein ghira rahta hun milna chahun to milun khud se main tanha kaise mujh se jab tark-e-talluq ka kiya ahd to phir mud ke meri hi taraf aap ne dekha kaise mujh ko khud par bhi bharosa nahin hone pata log kar lete hain ghairon pe bharosa kaise doston shukr karo mujh se mulaqat hui ye na puchho ki luti hai meri duniya kaise dekhi honton ki hansi zakhm na dekhe dil ke aap duniya ki taraf kha gae dhoka kaise aap bhi ahl-e-khirad ahl-e-junun the maujud lut gae hum bhi teri bazm mein tanha kaise is janam mein to kabhi main na udhar se guzra teri rahon mein mere naqsh-e-kaf-e-pa kaise aankh jis ja pe bhi padti hai thahar jati hai likhna chahun to likhun tera sarapa kaise zulfen chehre se hata lo ki hata dun main khud 'nur' ke hote hue itna andhera kaise