dil hai barbaad-e-tamanna jaanan aur hum tujh se kahen kya jaanan chhod ke hum ne to raste sare chun liya pyar ka rasta jaanan tut sakta hai agar tu chahe dard se dil ka ye rishta jaanan tu mile hum se to batlaen tujhe hum ko arman hain kya kya jaanan chahen kya chahne wale tere tu jo chahe wahi hoga jaanan khwab bunne lagin aankhen kya kya hum ne jab jab tujhe dekha jaanan tera 'danish' hai gurezan tujh se aa gaya waqt ye kaisa jaanan