diwar-o-dar se dur hamara makan hai sar par hamare dhup ka ek saeban hai yaro gham-e-hayat se be-e'tinai kya aaya hai chand din ke liye mehman hai kab se use rahi hai kharidar ki talab bazar-e-zindagi mein jo gham ki dukan hai kyon tark-e-arzu ke liye kah rahe hain aap shayad ye aarzu to mohabbat ki jaan hai diwangan-e-ishq ka kya puchhte ho haal behaal ho ke bhi to ajab aan-ban hai dekhen unhen to khinch bulata hai ya nahin ai jazb-e-shauq aaj tera imtihan hai jaise kisi khala mein kahin ji rahe hain log 'danish' zamin hai ab na koi aasman hai