dil hai haqiqat-ashna jalwa-gah-e-majaz mein

dil hai haqiqat-ashna jalwa-gah-e-majaz mein
husn-e-azal hai mustatar ishq ki soz-o-saz mein

dil ko hai naz ishq par rahguzar-e-majaz mein
saikdon jalwe hain nihan husn-e-nazar-nawaz mein

khwahish-e-ilm hai fuzul harf-e-ghalat hai inkishaf
ek tilism-e-raaz hai hasti-e-karsaz mein

aah ye be-khudi-e-ishq aah ye sadgi-e-dil
lutf-o-karam ki hai talash husn-e-jafa-taraaz mein

khak sukun-pazir ho meri hayat-e-mustaar
hashr hi hashr hain nihan teri khiram-e-naz mein

dil mera waqf ho chuka jalwa-e-rang rang ka
nasiya sajda-rez hai kaba-e-khana-saz mein

dekh le is mein hain nihan meri ubudiyat ke raaz
sajde ke jo nishan hain nasiya-e-niyaz mein

teri samajh se hai buland hasti-e-raaz-e-kaenat
aql pe kar na jabr tu koshish-e-imtiyaz mein

go hai sukun bhi ek chiz par wo tadap thi jaan-faza
hae wo soz ab nahin parda-e-dil ke saz mein

ya to ajal ke sath sath aae sahar kafan-badosh
ya koi phir kami na ho meri shab-e-daraaz mein

chhed ke mujh ko ham-nafas mahw-e-tarab hain kis qadar
nala-e-gham hai muztarib parda-e-dil ke saz mein

kashmakash-e-hayat mein ai ajal ikhtisar kar
yas ka rang aa chala koshish-e-jalwa-saz mein

'saqib'-e-mahw-e-be-khudi tujh ko talash hai kahan
sun wo sada-e-dil-fareb apni hi dil ke saz mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close