dil hai ki justuju ke sarabon mein qaid hai warna har ek chehra naqabon mein qaid hai fursat kahan ki dhunde gham-e-dahr ka ilaj har shakhs apne gham ke hisabon mein qaid hai kya khak hon nasib yahan sar bulandiyan josh-e-amal to aaj kitabon mein qaid hai taskhir-e-kaenat ki mohlat kise yahan har zehn apne jumla hisabon mein qaid hai sune pade hain dil ke dar-o-baam in dinon jalwon ka ehtimam hijabon mein qaid hai le de ke bach rahi hai jo tahzib ki zaban 'masum' wo bhi aali-janabon mein qaid hai