gham-e-jaanan se rangin aur koi gham nahin hota ki is ke dard mein ehsas-e-besh-o-kam nahin hota wo hain kam-zarf jin ka shor-e-nala kam nahin hota chaman mein phul bhi to hain unhen kya gham nahin hota kamal-e-zabt-e-girya azmat-e-shan-e-mohabbat hai chhalak jae jo paimana wo jam-e-jam nahin hota yahan tak dil ko aadat ho gai hai be-qarari ki sukun-e-zindagi mein bhi tadapna kam nahin hota tumhaari yaad hi ke sath dhadkan badh gai dil ki tasawwur se mizaj-e-husn to barham nahin hota khizan ki uljhanen gulchin ka khatka hai magar phir bhi kali ka bagh mein lutf-e-tabassum kam nahin hota kuchh aisi baat hai sayyaad jo hum muskuraate hain nahin to aashiyan lutne ka kis ko gham nahin hota na jaane kyun tumhaare gham ko duniya gham samajhti hai masarrat se to is ka martaba kuchh kam nahin hota 'figar' is gulshan-e-hasti ka ibrat-khez aalam hai ki shabnam ro rahi hai gul ka hansna kam nahin hota