dil hai kyon girya-e-be-ashk se pur-nur bahut

dil hai kyon girya-e-be-ashk se pur-nur bahut
tum bahut pas ho ya khud se hain hum dur bahut

jalwa-e-husn se dil kya rahe mamur bahut
mauj sahil ke kabhi pas kabhi dur bahut

nam isi farq ka hai kashmakash-e-gham shayad
tum karam karte ho kam-kam hamein manzur bahut

istitaat hai jinhen un ko kuchh ehsas nahin
jin ka ehsas hai zinda wo hain majbur bahut

marg-e-be-fasla hai ba-khabari ka jina
apni ghaflat se hai jo koi hai masrur bahut

kab se hun ham-qadam-e-waqt-e-gurezan lekin
dur hai manzil-e-maqsud ba-dastur bahut

sirf aalam se hi dil nahin hota ghamgin
baz khushiyan bhi bana deti hain ranjur bahut

kya na karti rahi duniya hamein apnane ko
kam-dimaghi se rahe kuchh hami maghrur bahut

dil mein rakh kar tumhein gumnam ke gumnam hain hum
tur ek barq-e-tajalli se hai mashhur bahut

kahin hanste hue chehron se na dhoka khana
dil tatologe to mil jaenge nasur bahut

zindagi waqt ka khud sab se bada hadisa hai
jis ko dekho wo hai haalat se majbur bahut

'shauq' kya jalwa-e-be-parda ki khwahish kije
hosh udane ko hai ek jalwa-e-mastur bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close