dil hai masarrat-e-gham-e-jaanan liye hue

dil hai masarrat-e-gham-e-jaanan liye hue
lekin malal-e-talkhi-e-dauran liye hue

ai dil na ho udas khudara na ho udas
ehsas-e-tishna-kaami-e-arman liye hue

har mushkil-e-hayat hai khud apni aad mein
aasani-e-hayat ka saman liye hue

har kam-nazar ko de ke zamane ki rahaten
main khush hun apna qalb-e-pareshan liye hue

ai rahrawan-e-sahil-e-ummid hoshiyar
sahil hai apni god mein tufan liye hue

ai dost apne aap pe nazan raha hun main
ek azm-e-sar-bulandi-e-insan liye hue

ummid-e-iltifat pe baitha hun mutmain
sarmaya-e-nadamat-e-isyan liye hue

us anjuman mein ja to raha hun magar 'atiq'
dil mein kashakash-e-gham-e-dauran liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close