dil hai na nishan be-dili ka kya waqt pada hai be-kasi ka dekha kiye rasta kisi ka tha shaghl ye apni zindagi ka parwa-e-karam na shikwa-e-gham allah re dimagh be-dili ka main aur ye be-niyazi-e-shauq ehsan hai josh-e-be-khudi ka marna marne ki aarzu mein hasil hai ye apni zindagi ka aansu bhar aae dil bhar aaya gar nam bhi sun liya khushi ka aakhir 'ibrat' ne jaan de di kuchh pas kiya na be-kasi ka