aankh mein aansu ka aur dil mein lahu ka kal hai hai tamanna ka wahi jo zindagi ka haal hai yun dhuan dene laga hai jism aur jaan ka alao jaise rag rag mein rawan ek aatish-e-sayyal hai phailte jate hain dam-e-narasi ke daere tere mere darmiyan kin hadson ka jal hai ghir gai hai do zamanon ki kashakash mein hayat ek taraf zanjir-e-mazi ek jaanib haal hai hijr ki rahon se 'akbar' manzil-e-didar tak yun hai jaise darmiyan ek raushni ka sal hai