dil hai raushan ki hai dil mein rukh-e-raushan un ka zer-e-fanus-e-badan shama hai joban un ka did un ki hai visal un ka tasawwur un ka jaan un ki hai jigar un ka hai tan-man un ka hain wo kashana-e-dil mein kabhi aankhon mein kabhi khana tan hai mera ghar bhi aur aangan un ka hai tasawwur jo unhin ka to wo hain pesh-e-nigah ho khayal un ke siwa gar to hai rahzan un ka hain tumhin mein wo tum apne ko to dekho ho kaun jin ko kahte ho ki hai arsh pe maskan un ka jaan un ki hai har ek jaan kahan par wo nahin donon aalam mein yahi ramz hai muzman un ka baithe baithe wo kiya karte hain har gul pe nazar dil-e-ashiq hai magar sair ka gulshan un ka wo hamare hain hum un ke hain unhin ka ye zuhur jaan un ki hai yahi jaan bhi tan-man un ka aa ke ghar mein mere 'mardan' na wo jaane paen ta-qayamat na chhute hath se daman un ka