gham duniya ke yaad jab aaen us ki yaad bhi aane do ek nashshe mein aur ek nashsha ai yaro mil jaane do aakhir hum ko apne haal pe khud rona khud hansna hai yaro ab kuchh der to thahro thodi tab to lane do murjhane se pahle dil ko ek hansi ki hasrat kyun band kali ko kuchh bhi nahin to ek tabassum pane do kis anmol pashemani ki daulat hai in aaankhon mein palkon par do aansu jhamken moti ke se dane do us dilbar ko pyas hamari kuchh taskin to deti hai jis ne hum par khol diye hain aaankhon ke mai-khane do hum bhi apna hosh ganwa kar sab ke jaise ho jaen khul hi gai hai jab botal to bhar ke do paimane do