dil hai to magar dil mein wo jazbaat nahin ab

dil hai to magar dil mein wo jazbaat nahin ab
ek saz hai jo hamil-e-naghmat nahin ab

wo silsila-e-harf-o-hikayat nahin ab
milte hain magar lutf-e-mulaqat nahin ab

dar-parda ishaaraat-o-kinayat nahin ab
yani nazar-afroz hijabaat nahin ab

milne ko to milti hain nigahon se nigahen
wo lutf-e-sawalat-o-jawabaat nahin ab

ab sham-o-sahar mein nahin be-tabi-e-fitrat
aashob-e-tamanna liye din-raat nahin ab

sahba-e-tarab kaun piye kaun pilae
wo rind wo saqi wo kharabaat nahin ab

sab uth gae khush-rang hijabaat nazar se
duniya meri nazron mein tilismat nahin ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close